Our website uses necessary cookies to enable basic functions and optional cookies to help us to enhance your user experience. Learn more about our cookie policy by clicking "Learn More".
Accept All Only Necessary Cookies
Bivi ko Khoon Ana icône

1.0 by MalikApps


Feb 23, 2016

À propos de Bivi ko Khoon Ana

Français

Kya Suhagraat mai biwi ko khoon ana hi asmat ki nishani hai ???

Mubashrat shadi ki buniyad hoti hai aur husband wife dono ka first impression hota hai."Mubashrat kay adaab" kay mutabiq hujla urusi ko khoob sajaya jaey. Kamrey ka mahol khushgawar aur pur sukoon ho. Bath room kay saath ho to ziyada behtar hoga. Bister per flowers ki paatiyan bhekbaali jaeyn. Room ko mom batti ki roshni sey sehar angaez banaya jaey. Mubashrat (intercourse) mein use honay wala zaroori saman qareeb mojood ho. Dulha aur dulhan ghusl kar kay din bhar ki thakawat ko door kar kay fresh hojaeyn. Mian tasawur karey ka biwi ko jinsi amal aur mubashrat (intercourse) kay hawaley sey kuch pata nahi hai lehaza woh isey iss silsiley mein zaroori malomat farham karey maslan biwi ko bataein kay:

Allah kay piyarey Nabi Hazrat Muhammad(P.B.U.H) ney jinsi amal ko naeki aur sadqa qarar diya hai jis ka sawab milta hai. (Muslim)

Biwi mian kay saath ta'awwun karey. Agar woh baghaer kisi ma'aqool wajah kay ta'awun sey inkar karey to farishtey sari raat iss per laanat bhaijtey hain. (Abu Dawood, Muslim, Nisa'ee)

Mubashrat ek purlutf amal hai agarcha pehli bar kuch takleef hoti hai. lekin agar biwi apni sari tawajjah jinsi lutf per markhooz karey to takleef ka zyada ehsaas nahi hota. Agar bharpoor ta'awwun karey aur apney jism ko dheela chor dey to takleef bhi kam hoti hai.

Pehli raat biwi ki tawaza, dil dari aur dil joi ki jaey. Allah kay pak naabi Hazrat Muhammad(P.B.U.H) nay Hazrat Ayesha ko doodh pilaya (ahmed) amooman larki apnaa ghar chor kar naey ghar aur naey mahool mein aati hai. Woh khauf ghabrahat aur nervousness ka shikar hoti hai. Woh mian aur susral walo kay hawaley sey kay tarhan kay khadshat ka shikar hoti hai. Iss sorat mein isey dil joi ki sakht zaroorat hoti hai. Behtar hai kay donon 2 , 2 nafil phar leyn. Kamiyab aur pur sakoon zindagi ki dua kareyn. Iss sey insan per sukoon hojata hai. Jis ki wajah sey tanau (erection) bhar poor hoga aur inzal bhi jald naa hoga. Tahem agar kisi mard ko surat e inzal ka masla hai ya khauf hai ka inzal jald ho jaey ga to aisey fard kay liye mahireen tajweez kartey hain kay woh mubashrat (intercourse) sey 2 hours pehley khudlazaati karley. Iss sey insan jismani lehaz sey pur sukoon hojata hai aur phir mubashrat (intercourse) mein jald ejaculate nahi hota. Humarey yahan first night of marriage (shadi ki pehli raat) mubashrat (intercourse) ko zaroori samajha jata hai Warna valima jaeyz naa hoga. Quran o Sunnah ki roshni mein iss baat ki koi haqeeqat nahi hai. Humarey yahan amooman nikah raat ko bohut late hota hai. Dulhan ko ghar pohonchtey pohonchtey raat kay 2 ya 2 ½ baj jatey hain jis ki wajah sey dulha aur dulhan thak kar choor ho jatey hain. Thakawat kay elawa donon khauf, ghabrahat aur jhijhak ka shikar bhi hotey hain. Khusoosan agar donon pehley sey ek doosrey sey waqif na hun. Larkay ko amooman nakami jab kay larki ko mubashrat (intercourse) ki takleef ka khauf hota hai. Iss khauf aur anxiety ki wajah sey amooman aurat ki faraj ki entrance tang hojati hai aur faraj kay ander chiknaahat ki kami bhi hojaati hai jis ki wajah sey dakhool aur mubashrat (intercourse) takleef dey hojata hai. Doosri taraf larka samajhta hai kay agar iss nay pahli night mubashrat (intercourse) naa kiya to larki samajhai gi kay shayad mian iss qabil nahi (halan kay aurtein amooman iss tarhan nahi sochtiin) jawani mein har mard jismani lehaz sey normal aur jinsi amal ka puri tarhan sey ahull hota hai. Albatta khauf aur zehni dabao ki wajah sey baaz auqat isey tanau (erection) nahi hota yeh aain time per khatam hojata hai jokay aik fitri amal hai. Kyun kay khauf, zehni dabao aur tension tanau (erection) kay dushman hain. Lehaza iss sorat-e-haal kay paesh-e-nazar pehli raat sex ko ziyada ahmiyat naa di jaey Chunancha pehli raat mubashrat (intercourse) naa karna donon kay liye mufeed hai. Waisey bhi pehli raat mubashrat (intercourse) donon kay liye kisi had tak takleef deh hoti hai. Thakawat aur tension mein yeh takleef ziyada mehsoos hoti hai.

Hambistri k fawaid.

Suhagraat k mazay.

Pura maza.

Quoi de neuf dans la dernière version 1.0

Last updated on Feb 23, 2016

Minor bug fixes and improvements. Install or update to the newest version to check it out!

Chargement de la traduction...

Informations Application supplémentaires

Dernière version

Demande Bivi ko Khoon Ana mise à jour 1.0

Telechargé par

Arkar Lay

Nécessite Android

Android 2.3.2+

Voir plus

Bivi ko Khoon Ana Captures d'écran

Charegement du commentaire...
Langues
Langues
Abonnez-vous à APKPure
Soyez le premier à avoir accès à la sortie précoce, aux nouvelles et aux guides des meilleurs jeux et applications Android.
Non merci
S'inscrire
Abonné avec succès!
Vous êtes maintenant souscrit à APKPure.
Abonnez-vous à APKPure
Soyez le premier à avoir accès à la sortie précoce, aux nouvelles et aux guides des meilleurs jeux et applications Android.
Non merci
S'inscrire
Succès!
Vous êtes maintenant souscrit à notre newsletter.