Our website uses necessary cookies to enable basic functions and optional cookies to help us to enhance your user experience. Learn more about our cookie policy by clicking "Learn More".
Accept All Only Necessary Cookies
Jab Dil Ghabra jaye to yeh Amal kar lia karin 2018 icône

1.0.0 by Urdu Info


May 6, 2018

À propos de Jab Dil Ghabra jaye to yeh Amal kar lia karin 2018

Jab Dil Ghabra jaye to yeh Amal kar lia karin 2018 very nice islamic android app

Jab Dil Ghabra jaye to yeh Amal kar lia karin 2018 very nice islamic android app. Hazrat Ans (raziallah anho) rawayat karte he ke jo shaks Yaseen shareef parhe usay 10 bar Quran Majeed parhane ka sawab mile ga. ( tirmazi shareef)

Hadees 4:

Hazrat Muhammad (SAW) ne farmaya ke ALLAH ki raza andi ke liye jo shaks Surat Yaseen parhe ga us ke pehle gunah maaf kar diye jaye gay lehaza is surat ko marne waalo ke paas parha karo. ( beahqi, shaab al imaan)

Hadees 5:

Hazrat Muhammad (saw) ne farmaya ke jis ne raat ke waqt Surat Yaseen parhi us halat me subha ko uthe ga ke woh baqsha hua hoga. ( ibn e kaseer)

Hadees 6:

Hazrat Ibne Abbas (raziallah anho) se rawayat he ke Hazrat Muhammad (SAW) ne farmaya ke meri ye tamana he ke ye Surat Yaseen har umaty ke dil me hoty. ( tafseer e ibn e kaseer)

Hadees 7:

Hazrat Ata Bin Rabah Tabi se marwi he ke mujhe ye hadees pohanchi ke jo aadmi din ke agaaz mein Surat Yaseen shareef parhe ga us ki tamaam zarooriyaat poori kar di jaye gi. (daarmi)

bazoorgaan e deen ka qaul he ke ye Surat har qisam ki haajat ke liye bohat mofeed he. is liye agar kisi shaks ko sheedat e haajat darpaish ho to usay chahiye ke 11 din tak Surat Yaseen ko moobeeno ke saath rozana aik martaba parhe INSHALLAH us ki haajat poori hogi.

Surah e kahf Ki Fazilat

Hadish 1: Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya ke jis shakhs ne Jumma ke din surah e kahf parha kyamat ke din sar se per tak aur zamin se aasman tak uske liye noor hi noor hoga aur dono jumma ke darmiyan gunah maaf kar diye jayenge.

Hadish 2:

Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya ke jo shakhs surah e kahf ki ibtedai 10 aayto ki tilavt karega wo Djjal ke fitno se mehfuj rahega.

Hadish 3:

Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya ke jo shakhs surah e kahf ki ibtedai 3 aayto ki Yaad karega wo Djjal ke fitno se mehfuj rahega.

Hadish 4:

Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya ke jo shakhs surah e kahf ki akhri 10 aayte parhi karega wo Djjal ke fitno se mehfuj rahega.

Hadish 5:

Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya ke jo shakhs surah e kahf ka avval aur aakhir parha wo sar Ta-Pa munvvr ho jayega aur jo shakhs is surah ko mukmml prhega us ke liye zamin aur aasman ke drmiyan noor hi noor hoga.

Hadish 6: Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya he ke surah e kahf padhne se sukun milta he, isi liye kuran me nazil hui he.

Ye surah Karz ki adaygi, Dusmno ki zuban bandi, Garibi ko door karne, zulm se najat,haml ki hifazt ke moassr he, ek bujrug ka kaul he ke karj se chhutkara pane ke liye jumma ki nmaj ke baad ye surah pdhe allah se roji ke liye duva kre inshallah kabool hogi, jab tak karj khtm na ho har jumma padhte rhe.

Hamal ki hifazat ke liye aurto ko chahiye ke 40 roj tk baad fajr ki nmaj ke baad surah e kahf ko parhe inshallah uska hamal mehfuj rahega.

Agar koi sakhs garibi ka sikar ho, uski roji ka koi zaria na ban rha ho to use chahiye ke gyarah roj tak surah e kahf ko baad nmaj e isha prhe, inshallah us ki frakhi ka sabb ban jayega.

Agar koi shkhs ya aurat ek mahine me ek martba ish surat ko parh kr pani par dam kar ke apne mkan ki chat ke charo kono pr chhirk de to wo makan aaseb, jinn, bhoot aur saytan ke hamle se mehfuz rahega.

Jish irade se surah e kahf ko parha jayega allah taala apni rahmat se wo irada pura karega

Quoi de neuf dans la dernière version 1.0.0

Last updated on May 6, 2018

Minor bug fixes and improvements. Install or update to the newest version to check it out!

Chargement de la traduction...

Informations Application supplémentaires

Dernière version

Demande Jab Dil Ghabra jaye to yeh Amal kar lia karin 2018 mise à jour 1.0.0

Nécessite Android

2.3 and up

Voir plus

Jab Dil Ghabra jaye to yeh Amal kar lia karin 2018 Captures d'écran

Charegement du commentaire...
Abonnez-vous à APKPure
Soyez le premier à avoir accès à la sortie précoce, aux nouvelles et aux guides des meilleurs jeux et applications Android.
Non merci
S'inscrire
Abonné avec succès!
Vous êtes maintenant souscrit à APKPure.
Abonnez-vous à APKPure
Soyez le premier à avoir accès à la sortie précoce, aux nouvelles et aux guides des meilleurs jeux et applications Android.
Non merci
S'inscrire
Succès!
Vous êtes maintenant souscrit à notre newsletter.